Showing posts with label Romantic Shayari. Show all posts
Showing posts with label Romantic Shayari. Show all posts

Thursday, August 31, 2017

Kitne aishh se rehte honge kitne itraate honge... -Jaun Eliya (Jaun Eliya Ghazal, Sad Shayari)


Kitne aishh se rehte honge kitne itraate honge
Jaane kaise log wo honge jo us ko bhaate honge


Shaam hue khush-bash yahan ke mere paas aa jate hain
mere bujhne ka nazaara karne aa jate honge

Wo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha
aane walo se kya matlab aate hai aate honge
Us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hogaYoon hi mere baal hai bikhare aur bikhar jaate honge
Band rahe jin kaa darwaaza aise gharo ki mat poochho
Deeware gir jaati hogi aangan rah jaate honge
Meri saans ukdate hi sab bain karenge royenge
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate honge
Yaaro kuchh toh zikr karo tum us ki kyaamat baahon ka
Wo jo simat'te honge unme wo to mar jaate honge

-Jaun Eliya


Watch Amazing Recitation Of "Kitne aaish se rehte honge..." -Jaun Eliya

Kabhi Yu Bhi Ho Sar-e-Bazm Wo, Mujhe Ye Kahe Ke Ghazal Suna


Kabhi Yu Bhi Ho Sar-e-Bazm Wo, Mujhe Ye Kahe Ke Ghazal Suna,

Mai Ghazal Ghazal Me Use Ye Kaho, Mera Koi Nahi Tere Siwa...

Sunday, August 20, 2017

Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota... (Nazm) -Wasi Shah




Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

Tu Bade Piyaar Se Chaao Se Bade Maan Ke Sath

Apni Nazuk Si Kalayi Me Chadati Mujh Ko

Aur Be-Taabi Se Fursat Ke Khizaa Lamho Me

Tu Kisi Soch Me Dobi Jo Ghomati Mujh Ko

Mai Tere Hath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata

Jab Kabhi Mood Me Aa Kar Mujhe Choma Karti

Tere Hontoo Ki Mai Hiddat Se Dehak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendo Ke Safar Par Jati

Mar-Marein Hath Ka Takiya Banaya Karti

Mai Tere Kaan Se Lag Kar Kayi Baate Karta

Teri Zulfon Ko Tere Gaal Ko Chheda Karta

Mujh Ko Be-Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha

Mai Teri Rooh Ke Gulshan Me Meehakta Rehta

Mai Tere Jism Ke Aangan Me Khanakta Rehta

Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota

Kash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

-Wasi Shah


Tuesday, August 8, 2017

Wo Jo Lagta Hai Hume Jaan Se Pyara Pagal... (Ghazal)



Wo Jo Lagta Hai Hume Jaan Se Pyara Pagal,
Wo Hai Lakho Me Faqat Ek Humara, Pagal

Teri Daryao Si Aadat Hi Tujhe Le Doobi,
Mai Batata Hi Raha Ye Hai Kinara, Pagal

Har Kisi Se Nahi Umeed Lagayi Jati,
Har Koi De Nahi Sakta Hai Sahara, Pagal

Wo Bhi Qisto Me Dikhata Hai Adaye Apni,
Wo Bhi Hone Nahi Deta Mujhe Sahara, Pagal

Iss Pe Kya Rona, Tumhe Koi Samajhta Hi Nahi,
Mujhse Aa Kar Toh Kaho Me Hu Tumhara, Pagal

Saath Tum The Toh Mujhe Raas Tha Pagalpan Bhi,
Ab Tere Baad Kare Kaise Guzara? Pagal

Door Tum Jab Se Hue Tab se Humare Hisse,
Bas Khasara Hai, Khasara Hai, Khasara, Pagal

Wednesday, August 2, 2017

Tuesday, August 1, 2017

Monday, July 31, 2017

Sunday, July 30, 2017

Teri Saadgi Ka Husn Bhi Lajawaab Hai

Teri Saadgi Ka Husn Bhi Lajawaab Hai,

Mujhe Naaz Hai Ke Tu Mera Intekhaab* Hai...

Intekhaab= Choice, Pasand

Saturday, July 29, 2017

Ab To Shayad Hi Mujhse Muhabbat Kare Koi

Ab To Shayad Hi Mujhse Muhabbat Kare Koi

Meri Aankho Me Tum Saaf Nazar Aate Ho...

Sahil Jaisi Lagti Hai Woh, Aur Bhanwar Si Aankhe Hai

Sahil Jaisi Lagti Hai Woh, Aur Bhanwar Si Aankhe Hai,

Saade Se Ek Chehre Par Kya Jadugar Si Aankhe Hai...

Us Ke Rukhsaar Pe Dimple Ne Qayamat Kar Di

Us Ke Rukhsaar Pe Dimple Ne Qayamat Kar Di

Ek Chhote Se Bhanwar Me Mera Dil Doob Gaya...

Apne Ehsaas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kardo... (Ghazal) -Wasi Shah



Apne Ehsaas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kardo,
Mai Ke Sadiyo Se Adhoora Hu Mukammal Kardo


Na Tumhe Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe,
Is Qadar Toot Ke Chaho Ke Mujhe Pagal Kardo


Tum Hatheli Ko Mere Piyaar Ki Mehndi Se Rango,
Apni Aankho Me Mere Naam Ka Kajal Kardo


Iske Saaye Me Mere Khawab Mehak Uthe Ge,
Mere Chehre Pe Umeedo Bhara Aanchal Kardo


Dhoop Hi Dhoop Ho Mai Toot Ke Barso Mujh Par,
Iss Qadar Barso Meri Rooh Ko Jal-Thal Kardo


Tum Chhupa Lo Mera Dil Oat Me Apne Dil Ki,
Aur Mujhe Meri Nigaho Se Bhi Ojhal Kardo


Apne Honto Se Koi Mohar Lagao Mujh Par,
Ek Nazar Piyaar Se Dekho Mujhe Ghayal Kardo


Apne Gham Se Kaho Kar Waqt Mere Saath Rahe,
Ek Ehsaan Karo Is Ko Musalsal Kardo


Mujh Pe Chha Jaao Kisi Aag Ki Soorat Jaana,
Aur Meri Zaat Ko Sukha Hua Jungal Kardo


-Wasi Shah