Showing posts with label Yaad Shayari. Show all posts
Showing posts with label Yaad Shayari. Show all posts

Thursday, August 31, 2017

Kitne aishh se rehte honge kitne itraate honge... -Jaun Eliya (Jaun Eliya Ghazal, Sad Shayari)


Kitne aishh se rehte honge kitne itraate honge
Jaane kaise log wo honge jo us ko bhaate honge


Shaam hue khush-bash yahan ke mere paas aa jate hain
mere bujhne ka nazaara karne aa jate honge

Wo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha
aane walo se kya matlab aate hai aate honge
Us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hogaYoon hi mere baal hai bikhare aur bikhar jaate honge
Band rahe jin kaa darwaaza aise gharo ki mat poochho
Deeware gir jaati hogi aangan rah jaate honge
Meri saans ukdate hi sab bain karenge royenge
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate honge
Yaaro kuchh toh zikr karo tum us ki kyaamat baahon ka
Wo jo simat'te honge unme wo to mar jaate honge

-Jaun Eliya


Watch Amazing Recitation Of "Kitne aaish se rehte honge..." -Jaun Eliya

Sunday, July 9, 2017

Almari Se Khat Uske Purane Nikal Aaye (Ghazal) -Munawwar Rana


Almari Se Khat Uske Purane Nikal Aaye,
Phir Se Mere Chehre Pe Daane Nikal Aaye

Maa Baith Ke Takti Thi Jaha Se Mera Raasta,
Mitti Ke Hatate Hi Khazane Nikal Aaye

Mumkin Hai Hume Gaon Bhi Pehchaan Na Paye,
Bachpan Me Hi Hum Ghar Se Kamane Nikal Aaye

Bosida Kitaabo Ke Warq Jaise Hai Hum Log,
Jab Hukam Diya Humko Kamane Nikal Aaye

Ae Ret Ke Zarre Tera Ehsaan Bahut Hai,
Aankho Ko Bhigone Ke Bahane Nikal Aaye

Ab Tere Bulane Se Bhi Aa Nahi Sakte,
Hum Tujhse Bahut Aage Zamane Nikal Aaye

Ek Khauf Sa Rehta Hai Mere Dil Me Hamesha,
Kis Ghar Se Teri Yaad Na Jane Nikal Aaye

-Munawwar Rana

Friday, July 7, 2017

Maula Ye Tamanna Hai Ki Jab Jaan Se Jaau (Ghazal) -Munawwar Rana



Maula Ye Tamanna Hai Ki Jab Jaan Se Jaau,
Jis Shaan Se Aaya Hu Usi Shaan Se Jaau

Bacchon Ki Tarah Pedo Ki Saakho Se Mai Kudoo,
Chidiyo Ki Tarah Udd Ke Mai Khalihaan Se Jaau

Har Lafz Mehakne Lage Likha Hua Mera,
Mai Lipta Hua Yaado Ke Lobaan Se Jaau


Mujh Me Koi Viraana Bhi Aabaad Hai Shayad,
Saanso Ne Bhi Puchca Tha Biyabaan Se Jaau

Zinda Mujhe Dekhegi Toh Maa Cheekh Uthegi,
Kya Zakham Liye Peeth Pe Maidaan Se Jaau

Kya Sookhe Hue Phool Ki Qismat Ka Bharosa,
Maloom Nahi Kab Tere Guldaan Se Jaau


-Munawwar Rana