Showing posts with label Bachpan Shayari. Show all posts
Showing posts with label Bachpan Shayari. Show all posts

Sunday, July 9, 2017

Almari Se Khat Uske Purane Nikal Aaye (Ghazal) -Munawwar Rana


Almari Se Khat Uske Purane Nikal Aaye,
Phir Se Mere Chehre Pe Daane Nikal Aaye

Maa Baith Ke Takti Thi Jaha Se Mera Raasta,
Mitti Ke Hatate Hi Khazane Nikal Aaye

Mumkin Hai Hume Gaon Bhi Pehchaan Na Paye,
Bachpan Me Hi Hum Ghar Se Kamane Nikal Aaye

Bosida Kitaabo Ke Warq Jaise Hai Hum Log,
Jab Hukam Diya Humko Kamane Nikal Aaye

Ae Ret Ke Zarre Tera Ehsaan Bahut Hai,
Aankho Ko Bhigone Ke Bahane Nikal Aaye

Ab Tere Bulane Se Bhi Aa Nahi Sakte,
Hum Tujhse Bahut Aage Zamane Nikal Aaye

Ek Khauf Sa Rehta Hai Mere Dil Me Hamesha,
Kis Ghar Se Teri Yaad Na Jane Nikal Aaye

-Munawwar Rana

Friday, July 7, 2017

Maula Ye Tamanna Hai Ki Jab Jaan Se Jaau (Ghazal) -Munawwar Rana



Maula Ye Tamanna Hai Ki Jab Jaan Se Jaau,
Jis Shaan Se Aaya Hu Usi Shaan Se Jaau

Bacchon Ki Tarah Pedo Ki Saakho Se Mai Kudoo,
Chidiyo Ki Tarah Udd Ke Mai Khalihaan Se Jaau

Har Lafz Mehakne Lage Likha Hua Mera,
Mai Lipta Hua Yaado Ke Lobaan Se Jaau


Mujh Me Koi Viraana Bhi Aabaad Hai Shayad,
Saanso Ne Bhi Puchca Tha Biyabaan Se Jaau

Zinda Mujhe Dekhegi Toh Maa Cheekh Uthegi,
Kya Zakham Liye Peeth Pe Maidaan Se Jaau

Kya Sookhe Hue Phool Ki Qismat Ka Bharosa,
Maloom Nahi Kab Tere Guldaan Se Jaau


-Munawwar Rana