Showing posts with label Aansu Shayari. Show all posts
Showing posts with label Aansu Shayari. Show all posts

Thursday, August 31, 2017

Kitne aishh se rehte honge kitne itraate honge... -Jaun Eliya (Jaun Eliya Ghazal, Sad Shayari)


Kitne aishh se rehte honge kitne itraate honge
Jaane kaise log wo honge jo us ko bhaate honge


Shaam hue khush-bash yahan ke mere paas aa jate hain
mere bujhne ka nazaara karne aa jate honge

Wo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha
aane walo se kya matlab aate hai aate honge
Us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hogaYoon hi mere baal hai bikhare aur bikhar jaate honge
Band rahe jin kaa darwaaza aise gharo ki mat poochho
Deeware gir jaati hogi aangan rah jaate honge
Meri saans ukdate hi sab bain karenge royenge
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate honge
Yaaro kuchh toh zikr karo tum us ki kyaamat baahon ka
Wo jo simat'te honge unme wo to mar jaate honge

-Jaun Eliya


Watch Amazing Recitation Of "Kitne aaish se rehte honge..." -Jaun Eliya

Tuesday, August 8, 2017

Wo Jo Lagta Hai Hume Jaan Se Pyara Pagal... (Ghazal)



Wo Jo Lagta Hai Hume Jaan Se Pyara Pagal,
Wo Hai Lakho Me Faqat Ek Humara, Pagal

Teri Daryao Si Aadat Hi Tujhe Le Doobi,
Mai Batata Hi Raha Ye Hai Kinara, Pagal

Har Kisi Se Nahi Umeed Lagayi Jati,
Har Koi De Nahi Sakta Hai Sahara, Pagal

Wo Bhi Qisto Me Dikhata Hai Adaye Apni,
Wo Bhi Hone Nahi Deta Mujhe Sahara, Pagal

Iss Pe Kya Rona, Tumhe Koi Samajhta Hi Nahi,
Mujhse Aa Kar Toh Kaho Me Hu Tumhara, Pagal

Saath Tum The Toh Mujhe Raas Tha Pagalpan Bhi,
Ab Tere Baad Kare Kaise Guzara? Pagal

Door Tum Jab Se Hue Tab se Humare Hisse,
Bas Khasara Hai, Khasara Hai, Khasara, Pagal

Saturday, August 5, 2017

Monday, July 31, 2017

Wafa Isko Nahi Kehte, Wafa Kuch Aur Hoti Hai



Wafa Isko Nahi Kehte, Wafa Kuch Aur Hoti Hai,
Mohbbat Karne Walo Ki Ada Kuch Aur Hoti Hai

Tumhe Dekha Tumhe Chaha, Tumhi Se Pyaar Kar Bethe,
Suno Patthar Ke Dil Walo, Mohbbat Aisi Bhi Hoti Hai,

Mai Chahe Gham Ka Mara Hu, Magar Tumko Na Bhulunga,
Ke Deewano Ke Honto Pe, Dua Kuch Aur Hoti Hai,

Tadap Uthegi Ye Duniya, Ke Royega Jab Dil Mera,
Ke Dil Se Phir Jo Nikalti Hai, Bad-dua Kuch Aur Hoti Hai

Wednesday, July 26, 2017

Tujhe Ishq Ho Khuda Kare

Tujhe Ishq Ho Khuda Kare
Tujhe Us Se Koi Juda Kare
Tere Hont Hansna Bhool Jaaye
Teri Aankh Pur Nam Raha Kare

Tu Us Ki Baate Kiya Kare
Tu Us Ki Baate Suna Kare
Use Dekh Kar Tu Ruk Jaye
Wo Nazar Jhuka Kar Mila Kare

Tujhe Dosti Bhi Na Raas Aaye
Tu Tanha Tanha Phira Kare
Tujhe Hijar Ki Wo Jhari Lage
Tu Milan Ki Har Pal Dua Kare

Tere Khawab Bikhre Toot Kar
Tu Kirchi Kirchi Chuna Kare
Tu Gali Gali Sada Kare
Tu Nagar Nagar Phira Kare

Tuesday, July 18, 2017

Bichhad Kar Tujh Se Zinda Hu Meri Taqdeer Toh Dekho (Ghazal)

Bichhad Kar Tujh Se Zinda Hu Meri Taqdeer Toh Dekho,
Kabhi Aa Kar Mere Halaat Ki Tasveer Toh Dekho,

Mujhe Mehfil Me Dekha Tu Kaha Us Ne Raqibo Se,
Mera Aashiq, Mera Paagal, Mera Dargeer Toh Dekho

Teri Tasveer Ke Pichhe Hai Jaale Bewafayi Ke,
Ulat Kar Tum Zara Apni, Kabhi Tasveer Toh Dekho

De Kar Pyaar Ki Daulat Khareede Khoon Ke Aansu,
Mili Jo Ishq Me, Zara Jageer Toh Dekho,

Likha Hai Naam Saahil Ka Shararat Hai Raqibo Ki,
Yeh Khat Mera Nahi Jaana, Zara Tehreer Toh Dekho

Sunday, July 9, 2017

Almari Se Khat Uske Purane Nikal Aaye (Ghazal) -Munawwar Rana


Almari Se Khat Uske Purane Nikal Aaye,
Phir Se Mere Chehre Pe Daane Nikal Aaye

Maa Baith Ke Takti Thi Jaha Se Mera Raasta,
Mitti Ke Hatate Hi Khazane Nikal Aaye

Mumkin Hai Hume Gaon Bhi Pehchaan Na Paye,
Bachpan Me Hi Hum Ghar Se Kamane Nikal Aaye

Bosida Kitaabo Ke Warq Jaise Hai Hum Log,
Jab Hukam Diya Humko Kamane Nikal Aaye

Ae Ret Ke Zarre Tera Ehsaan Bahut Hai,
Aankho Ko Bhigone Ke Bahane Nikal Aaye

Ab Tere Bulane Se Bhi Aa Nahi Sakte,
Hum Tujhse Bahut Aage Zamane Nikal Aaye

Ek Khauf Sa Rehta Hai Mere Dil Me Hamesha,
Kis Ghar Se Teri Yaad Na Jane Nikal Aaye

-Munawwar Rana

Wednesday, July 5, 2017

Aansu Tha Uss Ka Theek Wahi Par Gira Hua

Aansu Tha Uss Ka Theek Wahi Par Gira Hua,
Khat Me Jaha Tha Tark-e-Taluq Likha Hua...
--------------------------------