Showing posts with label Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Ghazal. Show all posts

Thursday, August 31, 2017

Kitne aishh se rehte honge kitne itraate honge... -Jaun Eliya (Jaun Eliya Ghazal, Sad Shayari)


Kitne aishh se rehte honge kitne itraate honge
Jaane kaise log wo honge jo us ko bhaate honge


Shaam hue khush-bash yahan ke mere paas aa jate hain
mere bujhne ka nazaara karne aa jate honge

Wo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha
aane walo se kya matlab aate hai aate honge
Us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hogaYoon hi mere baal hai bikhare aur bikhar jaate honge
Band rahe jin kaa darwaaza aise gharo ki mat poochho
Deeware gir jaati hogi aangan rah jaate honge
Meri saans ukdate hi sab bain karenge royenge
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate honge
Yaaro kuchh toh zikr karo tum us ki kyaamat baahon ka
Wo jo simat'te honge unme wo to mar jaate honge

-Jaun Eliya


Watch Amazing Recitation Of "Kitne aaish se rehte honge..." -Jaun Eliya

Kabhi Yu Bhi Ho Sar-e-Bazm Wo, Mujhe Ye Kahe Ke Ghazal Suna


Kabhi Yu Bhi Ho Sar-e-Bazm Wo, Mujhe Ye Kahe Ke Ghazal Suna,

Mai Ghazal Ghazal Me Use Ye Kaho, Mera Koi Nahi Tere Siwa...

Tuesday, August 8, 2017

Wo Jo Lagta Hai Hume Jaan Se Pyara Pagal... (Ghazal)



Wo Jo Lagta Hai Hume Jaan Se Pyara Pagal,
Wo Hai Lakho Me Faqat Ek Humara, Pagal

Teri Daryao Si Aadat Hi Tujhe Le Doobi,
Mai Batata Hi Raha Ye Hai Kinara, Pagal

Har Kisi Se Nahi Umeed Lagayi Jati,
Har Koi De Nahi Sakta Hai Sahara, Pagal

Wo Bhi Qisto Me Dikhata Hai Adaye Apni,
Wo Bhi Hone Nahi Deta Mujhe Sahara, Pagal

Iss Pe Kya Rona, Tumhe Koi Samajhta Hi Nahi,
Mujhse Aa Kar Toh Kaho Me Hu Tumhara, Pagal

Saath Tum The Toh Mujhe Raas Tha Pagalpan Bhi,
Ab Tere Baad Kare Kaise Guzara? Pagal

Door Tum Jab Se Hue Tab se Humare Hisse,
Bas Khasara Hai, Khasara Hai, Khasara, Pagal

Monday, July 31, 2017

Wafa Isko Nahi Kehte, Wafa Kuch Aur Hoti Hai



Wafa Isko Nahi Kehte, Wafa Kuch Aur Hoti Hai,
Mohbbat Karne Walo Ki Ada Kuch Aur Hoti Hai

Tumhe Dekha Tumhe Chaha, Tumhi Se Pyaar Kar Bethe,
Suno Patthar Ke Dil Walo, Mohbbat Aisi Bhi Hoti Hai,

Mai Chahe Gham Ka Mara Hu, Magar Tumko Na Bhulunga,
Ke Deewano Ke Honto Pe, Dua Kuch Aur Hoti Hai,

Tadap Uthegi Ye Duniya, Ke Royega Jab Dil Mera,
Ke Dil Se Phir Jo Nikalti Hai, Bad-dua Kuch Aur Hoti Hai

Saturday, July 29, 2017

Apne Ehsaas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kardo... (Ghazal) -Wasi Shah



Apne Ehsaas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kardo,
Mai Ke Sadiyo Se Adhoora Hu Mukammal Kardo


Na Tumhe Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe,
Is Qadar Toot Ke Chaho Ke Mujhe Pagal Kardo


Tum Hatheli Ko Mere Piyaar Ki Mehndi Se Rango,
Apni Aankho Me Mere Naam Ka Kajal Kardo


Iske Saaye Me Mere Khawab Mehak Uthe Ge,
Mere Chehre Pe Umeedo Bhara Aanchal Kardo


Dhoop Hi Dhoop Ho Mai Toot Ke Barso Mujh Par,
Iss Qadar Barso Meri Rooh Ko Jal-Thal Kardo


Tum Chhupa Lo Mera Dil Oat Me Apne Dil Ki,
Aur Mujhe Meri Nigaho Se Bhi Ojhal Kardo


Apne Honto Se Koi Mohar Lagao Mujh Par,
Ek Nazar Piyaar Se Dekho Mujhe Ghayal Kardo


Apne Gham Se Kaho Kar Waqt Mere Saath Rahe,
Ek Ehsaan Karo Is Ko Musalsal Kardo


Mujh Pe Chha Jaao Kisi Aag Ki Soorat Jaana,
Aur Meri Zaat Ko Sukha Hua Jungal Kardo


-Wasi Shah

Wednesday, July 26, 2017

Tujhe Ishq Ho Khuda Kare

Tujhe Ishq Ho Khuda Kare
Tujhe Us Se Koi Juda Kare
Tere Hont Hansna Bhool Jaaye
Teri Aankh Pur Nam Raha Kare

Tu Us Ki Baate Kiya Kare
Tu Us Ki Baate Suna Kare
Use Dekh Kar Tu Ruk Jaye
Wo Nazar Jhuka Kar Mila Kare

Tujhe Dosti Bhi Na Raas Aaye
Tu Tanha Tanha Phira Kare
Tujhe Hijar Ki Wo Jhari Lage
Tu Milan Ki Har Pal Dua Kare

Tere Khawab Bikhre Toot Kar
Tu Kirchi Kirchi Chuna Kare
Tu Gali Gali Sada Kare
Tu Nagar Nagar Phira Kare

Saturday, July 22, 2017

Kaha Le Jaau Dil Dono Jaha Me Iski Mushkil Hai -Akbar Allahabadi


Kaha Le Jaau Dil Dono Jaha Me Is ki Mushkil Hai,
Yaha Pariyo Ka Majma Hai, Waha Hooro'n Ki Mehfil Hai

ilaahi Kaisi Kaisi Soorate Tune Banayi Hai,
Har Surat Kaleje Se Laga Lene Ke Kabil Hai

Yeh Dil Lete Hi Shishe Ki Tarha Patthar Pe De Mara,
Mai Kehta Reh Gaya Zaalim Mera Dil Hai, Mera Dil Hai

Jo Dekha Aks Aaine Me Apna Bole Jhunjla Kar,
Are Tu Koun Hai, Hat Saamne Se Kyu 
Mukabil Hai


Hazaro Dil Masal Kar Paav Se Jhunjla Ke Farmaya,
Lo Pehchano Tumhara In Dilo Me Koun Sa Dil Hai



-Akbar Allahabadi

Tuesday, July 18, 2017

Bichhad Kar Tujh Se Zinda Hu Meri Taqdeer Toh Dekho (Ghazal)

Bichhad Kar Tujh Se Zinda Hu Meri Taqdeer Toh Dekho,
Kabhi Aa Kar Mere Halaat Ki Tasveer Toh Dekho,

Mujhe Mehfil Me Dekha Tu Kaha Us Ne Raqibo Se,
Mera Aashiq, Mera Paagal, Mera Dargeer Toh Dekho

Teri Tasveer Ke Pichhe Hai Jaale Bewafayi Ke,
Ulat Kar Tum Zara Apni, Kabhi Tasveer Toh Dekho

De Kar Pyaar Ki Daulat Khareede Khoon Ke Aansu,
Mili Jo Ishq Me, Zara Jageer Toh Dekho,

Likha Hai Naam Saahil Ka Shararat Hai Raqibo Ki,
Yeh Khat Mera Nahi Jaana, Zara Tehreer Toh Dekho

Friday, July 14, 2017

Mai Din Ko Kaho Raat Wo Iqraar Kare (Ghazal) -Wasi Shah




Mai Din Ko Kaho Raat Wo Iqraar Kare,
Mujhko Hasrat Hai Koi Yu Bhi Mujhe Piyaar Kare

Meri Khatir Woh Sahe Duniya ke Taa'ne, Dhake
Nange Pairo Se Woh Sehraou Ke Kant Chakhe

Mujhko Paane Ke Liye June Ke Roze Rakhe,
Mai Hu Dewana, Wo Dewano Sa Izhaar Kare

Mai Din Ko Kaho Raat Woh Iqraar Kare,
Mujhko Hasrat Hai Koi Yu Bhi Mujhe Piyaar Kare


-Wasi Shah

Thursday, July 13, 2017

Kaha Us Ne Zamana Dard Hai Aur Tum Dawa Jaise



Kaha Us Ne Zamana Dard Hai Aur Tum Dawa Jaise,

Laga Tum Se Mohabbat Hai Mujhe Us Ne Kaha Jaise,

Talab Ki Us Ne Jab Mujh Se Mohabbat Ki Wazahat Toh,
Bataya Dasht K Honton Pe Barish Ki Dua Jaise,

Kaho Aye Gul Kabhi Khushbo Ka Tum Ne Aks Dekha Hai,
Kaha Qos-E-Qaza K Sare Rango Ki Sada Jaise,

Suno Khawahish Ki Lehro Par, Sambhalna Kyu Howa Mushkil,
Bataya Paniyo Par Khawab Ki Rakhi Bana Jaise,

Suno Aankho Hi Aankho Ka Bayaan Kaisa Laga Tum Ko,
Laga Phoolon Se Sargoshi Si Karti Hai Saba Jaise...

Tuesday, July 11, 2017

Woh Jazbo Ki Tijarat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha


Woh Jazbo Ki Tijarat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha,
Use Hansne Ki Aadat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhe Uss Ne Kaha Aao Nayi Duniya Basate Hai,
Use Sujhi Shararat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Humesha Uski Aankho Me Dhanaq Ke Rang Hote The,
Yeh Uski Aam Aadat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Woh Mere Paas Bethi, Deir Tak Ghazle Meri Sunti,
Use Khud Se Mohabbat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mere Kandhe Par Sir Rakh Kar Kahi Par Kho Gayi Thi Woh,
Yeh Ek Waqti Inayat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhe Woh Dekh Kar Aksar Nighahe Phair Leti Thi,
Yeh Dar Parda Haqarat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Sunday, July 9, 2017

Almari Se Khat Uske Purane Nikal Aaye (Ghazal) -Munawwar Rana


Almari Se Khat Uske Purane Nikal Aaye,
Phir Se Mere Chehre Pe Daane Nikal Aaye

Maa Baith Ke Takti Thi Jaha Se Mera Raasta,
Mitti Ke Hatate Hi Khazane Nikal Aaye

Mumkin Hai Hume Gaon Bhi Pehchaan Na Paye,
Bachpan Me Hi Hum Ghar Se Kamane Nikal Aaye

Bosida Kitaabo Ke Warq Jaise Hai Hum Log,
Jab Hukam Diya Humko Kamane Nikal Aaye

Ae Ret Ke Zarre Tera Ehsaan Bahut Hai,
Aankho Ko Bhigone Ke Bahane Nikal Aaye

Ab Tere Bulane Se Bhi Aa Nahi Sakte,
Hum Tujhse Bahut Aage Zamane Nikal Aaye

Ek Khauf Sa Rehta Hai Mere Dil Me Hamesha,
Kis Ghar Se Teri Yaad Na Jane Nikal Aaye

-Munawwar Rana

Saturday, July 8, 2017

Meri Pehli Mohabbat Hai (Ghazal)

Zara Sa Maan Rakh Lena Meri Pehli Mohabbat Hai,
Sitam Tum Soch Kar Karna Meri Pehli Mohabbat Hai

Agar Jane Ki Zid Hai Toh Chale Jao Magar Sun Lo,
Jaldi Lout Ke Aana Meri Pehli Mohabbat Hai

Jigar Ke Khoon Se Likh Kar Tujhe Paigaam Bheja Hai,
Ek Ek Lafz Ko Padhna Meri Pehli Mohabbat Hai,

Mit Jaau Ga Duniya Se Mujhe Dil Se Mitana Mat,
Sada Dil Me Mujhe Rakhna Meri Pehli Mohabbat Hai...

Friday, July 7, 2017

Maula Ye Tamanna Hai Ki Jab Jaan Se Jaau (Ghazal) -Munawwar Rana



Maula Ye Tamanna Hai Ki Jab Jaan Se Jaau,
Jis Shaan Se Aaya Hu Usi Shaan Se Jaau

Bacchon Ki Tarah Pedo Ki Saakho Se Mai Kudoo,
Chidiyo Ki Tarah Udd Ke Mai Khalihaan Se Jaau

Har Lafz Mehakne Lage Likha Hua Mera,
Mai Lipta Hua Yaado Ke Lobaan Se Jaau


Mujh Me Koi Viraana Bhi Aabaad Hai Shayad,
Saanso Ne Bhi Puchca Tha Biyabaan Se Jaau

Zinda Mujhe Dekhegi Toh Maa Cheekh Uthegi,
Kya Zakham Liye Peeth Pe Maidaan Se Jaau

Kya Sookhe Hue Phool Ki Qismat Ka Bharosa,
Maloom Nahi Kab Tere Guldaan Se Jaau


-Munawwar Rana

Ishq Hasti Sanwaar Deta Hai

Husn Gul Hai, Bahaar Deta Hai,
Ishq Hasti Sanwaar Deta Hai

Sirf Ek Dil Ka Rona Rote Ho,
Gham To Basti Ujaad Deta Hai

Jo Bhi Dil Chahe Dil Ke Sath Karo,
Dil Tumhe Ikhtiyaar Deta Hai

Chand Ghadiyaa'n Udhaar Mangi Thi,
Aaj Kal Koun Udhaar Deta Hai

Aadmi Badshah Hai Jangal Ka,
Ye Toh Apne Bhi Maar Deta Hai

Khawab Me Iltija Woh Karte Hai,
'Qais' Zulfe Sanwaar Deta Hai

Thursday, July 6, 2017

bimar-e-mohabbat ki dawa hai ki nahin (Kaif Bhopali) Ghazal



bimar-e-mohabbat ki dawa hai ki nahin hai
mere kisi pahlu mein qaza hai ki nahin hai
sunta hun ek aahaT si barabar shab-e-wada
jaane tere qadmon ki sada hai ki nahin hai
sach hai ki mohabbat mein hamein maut ne mara
kuchh is mein tumhaari bhi KHata hai ki nahin hai
mat dekh ki phirta hun tere hijr mein zinda
ye puchh ki jine mein maza hai ki nahin hai
yun DhunDte phirte hain mere baad mujhe wo
wo 'kaif' kahin tera pata hai ki nahin hai

Tuesday, July 4, 2017

sab log jidhar wo hain udhar dekh rahe hain (Daagh Dehlvi) Ghazal



sab log jidhar wo hain udhar dekh rahe hain
hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain
tewar tere ai rashk-e-qamar dekh rahe hain
hum sham se aasar-e-sahar dekh rahe hain
mera dil-e-gum-gashta jo DhunDa nahin milta
wo apna dahan apni kamar dekh rahe hain
koi to nikal aaega sarbaz-e-mohabbat
dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain
hai majma-e-aghyar ki hangama-e-mahshar
kya sair mere dida-e-tar dekh rahe hain
ab ai nigah-e-shauq na rah jae tamanna
is waqt udhar se wo idhar dekh rahe hain
har-chand ki har roz ki ranjish hai qayamat
hum koi din us ko bhi magar dekh rahe hain
aamad hai kisi ki ki gaya koi idhar se
kyun sab taraf-e-rahguzar dekh rahe hain
takrar tajalli ne tere jalwe mein kyun ki
hairat-zada sab ahl-e-nazar dekh rahe hain
nairang hai ek ek tera did ke qabil
hum ai falak-e-shobada-gar dekh rahe hain
kab tak hai tumhaara suKHan-e-talKH gawara
is zahr mein kitna hai asar dekh rahe hain
kuchh dekh rahe hain dil-e-bismil ka taDapna
kuchh ghaur se qatil ka hunar dekh rahe hain
ab tak to jo qismat ne dikhaya wahi dekha
aainda ho kya nafa o zarar dekh rahe hain
pahle to suna karte the aashiq ki musibat
ab aankh se wo aaTh pahar dekh rahe hain
kyun kufr hai didar-e-sanam hazrat-e-waiz
allah dikhata hai bashar dekh rahe hain
KHat ghair ka paDhte the jo Toka to wo bole
aKHbar ka parcha hai KHabar dekh rahe hain
paDh paDh ke wo dam karte hain kuchh hath par apne
hans hans ke mere zaKHm-e-jigar dekh rahe hain
main 'dagh' hun marta hun idhar dekhiye mujh ko
munh pher ke ye aap kidhar dekh rahe hain
------------------------------