Showing posts with label Zulf Shayari. Show all posts
Showing posts with label Zulf Shayari. Show all posts

Sunday, August 20, 2017

Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota... (Nazm) -Wasi Shah




Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

Tu Bade Piyaar Se Chaao Se Bade Maan Ke Sath

Apni Nazuk Si Kalayi Me Chadati Mujh Ko

Aur Be-Taabi Se Fursat Ke Khizaa Lamho Me

Tu Kisi Soch Me Dobi Jo Ghomati Mujh Ko

Mai Tere Hath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata

Jab Kabhi Mood Me Aa Kar Mujhe Choma Karti

Tere Hontoo Ki Mai Hiddat Se Dehak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendo Ke Safar Par Jati

Mar-Marein Hath Ka Takiya Banaya Karti

Mai Tere Kaan Se Lag Kar Kayi Baate Karta

Teri Zulfon Ko Tere Gaal Ko Chheda Karta

Mujh Ko Be-Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha

Mai Teri Rooh Ke Gulshan Me Meehakta Rehta

Mai Tere Jism Ke Aangan Me Khanakta Rehta

Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota

Kash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

-Wasi Shah


Friday, July 7, 2017

Suljhe Suljhe Baalo Wali Ladki Se Mai Puchhuga

Suljhe Suljhe Baalo Wali Ladki Se Mai Puchhuga,

Uljha Uljha Rehne Wala Ladka Kaisa Lagta Hai...

Ishq Hasti Sanwaar Deta Hai

Husn Gul Hai, Bahaar Deta Hai,
Ishq Hasti Sanwaar Deta Hai

Sirf Ek Dil Ka Rona Rote Ho,
Gham To Basti Ujaad Deta Hai

Jo Bhi Dil Chahe Dil Ke Sath Karo,
Dil Tumhe Ikhtiyaar Deta Hai

Chand Ghadiyaa'n Udhaar Mangi Thi,
Aaj Kal Koun Udhaar Deta Hai

Aadmi Badshah Hai Jangal Ka,
Ye Toh Apne Bhi Maar Deta Hai

Khawab Me Iltija Woh Karte Hai,
'Qais' Zulfe Sanwaar Deta Hai

Tuesday, July 4, 2017

Bikhri Hui Woh Zulf



Bikhri Hui Woh Zulf Ishaaro Me Keh Gayi,
Mai Bhi Shareek Hu, Tere Haal-e-Tabah* Me...

Haal-e-Tabah= Ruined state