Showing posts with label Mohabbat Shayari. Show all posts
Showing posts with label Mohabbat Shayari. Show all posts

Thursday, August 31, 2017

Kitne aishh se rehte honge kitne itraate honge... -Jaun Eliya (Jaun Eliya Ghazal, Sad Shayari)


Kitne aishh se rehte honge kitne itraate honge
Jaane kaise log wo honge jo us ko bhaate honge


Shaam hue khush-bash yahan ke mere paas aa jate hain
mere bujhne ka nazaara karne aa jate honge

Wo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha
aane walo se kya matlab aate hai aate honge
Us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hogaYoon hi mere baal hai bikhare aur bikhar jaate honge
Band rahe jin kaa darwaaza aise gharo ki mat poochho
Deeware gir jaati hogi aangan rah jaate honge
Meri saans ukdate hi sab bain karenge royenge
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate honge
Yaaro kuchh toh zikr karo tum us ki kyaamat baahon ka
Wo jo simat'te honge unme wo to mar jaate honge

-Jaun Eliya


Watch Amazing Recitation Of "Kitne aaish se rehte honge..." -Jaun Eliya

Kabhi Yu Bhi Ho Sar-e-Bazm Wo, Mujhe Ye Kahe Ke Ghazal Suna


Kabhi Yu Bhi Ho Sar-e-Bazm Wo, Mujhe Ye Kahe Ke Ghazal Suna,

Mai Ghazal Ghazal Me Use Ye Kaho, Mera Koi Nahi Tere Siwa...

Ungliyaa Bhi Isi Soch Me Gum Hai Faraz

Ungliyaa Bhi Isi Soch Me Gum Hai Faraz,

Us Ne Kaise Naye Haath Ko Thama Honga...?

Sunday, August 20, 2017

Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota... (Nazm) -Wasi Shah




Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

Tu Bade Piyaar Se Chaao Se Bade Maan Ke Sath

Apni Nazuk Si Kalayi Me Chadati Mujh Ko

Aur Be-Taabi Se Fursat Ke Khizaa Lamho Me

Tu Kisi Soch Me Dobi Jo Ghomati Mujh Ko

Mai Tere Hath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata

Jab Kabhi Mood Me Aa Kar Mujhe Choma Karti

Tere Hontoo Ki Mai Hiddat Se Dehak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendo Ke Safar Par Jati

Mar-Marein Hath Ka Takiya Banaya Karti

Mai Tere Kaan Se Lag Kar Kayi Baate Karta

Teri Zulfon Ko Tere Gaal Ko Chheda Karta

Mujh Ko Be-Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha

Mai Teri Rooh Ke Gulshan Me Meehakta Rehta

Mai Tere Jism Ke Aangan Me Khanakta Rehta

Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota

Kash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

-Wasi Shah


Monday, August 14, 2017

Tuesday, August 8, 2017

Wo Jo Lagta Hai Hume Jaan Se Pyara Pagal... (Ghazal)



Wo Jo Lagta Hai Hume Jaan Se Pyara Pagal,
Wo Hai Lakho Me Faqat Ek Humara, Pagal

Teri Daryao Si Aadat Hi Tujhe Le Doobi,
Mai Batata Hi Raha Ye Hai Kinara, Pagal

Har Kisi Se Nahi Umeed Lagayi Jati,
Har Koi De Nahi Sakta Hai Sahara, Pagal

Wo Bhi Qisto Me Dikhata Hai Adaye Apni,
Wo Bhi Hone Nahi Deta Mujhe Sahara, Pagal

Iss Pe Kya Rona, Tumhe Koi Samajhta Hi Nahi,
Mujhse Aa Kar Toh Kaho Me Hu Tumhara, Pagal

Saath Tum The Toh Mujhe Raas Tha Pagalpan Bhi,
Ab Tere Baad Kare Kaise Guzara? Pagal

Door Tum Jab Se Hue Tab se Humare Hisse,
Bas Khasara Hai, Khasara Hai, Khasara, Pagal

Monday, July 31, 2017

Woh Kaaghaz Bhi Phoolo Ki Tarha Ab Tak Mahekta Hai

Woh Kaaghaz Bhi Phoolo Ki Tarha Ab Tak Mahekta Hai,

Jis Par Tum Ne Likha Tha, Mujhe Tum Se Mohabbat Hai...

Wafa Isko Nahi Kehte, Wafa Kuch Aur Hoti Hai



Wafa Isko Nahi Kehte, Wafa Kuch Aur Hoti Hai,
Mohbbat Karne Walo Ki Ada Kuch Aur Hoti Hai

Tumhe Dekha Tumhe Chaha, Tumhi Se Pyaar Kar Bethe,
Suno Patthar Ke Dil Walo, Mohbbat Aisi Bhi Hoti Hai,

Mai Chahe Gham Ka Mara Hu, Magar Tumko Na Bhulunga,
Ke Deewano Ke Honto Pe, Dua Kuch Aur Hoti Hai,

Tadap Uthegi Ye Duniya, Ke Royega Jab Dil Mera,
Ke Dil Se Phir Jo Nikalti Hai, Bad-dua Kuch Aur Hoti Hai

Saturday, July 29, 2017

Ab To Shayad Hi Mujhse Muhabbat Kare Koi

Ab To Shayad Hi Mujhse Muhabbat Kare Koi

Meri Aankho Me Tum Saaf Nazar Aate Ho...

Gham Ki Chadar Odhe Aur Mann Me Yaar Ke Sapne Liye

Gham Ki Chadar Odhe Aur Mann Me Yaar Ke Sapne Liye,

So Rahe Ho Toh Jhoote, Jaag Rahe Ho Toh Pagal...

Racha Kar Dhong Ulfat Ka Hawas Dil Ki Bujhate Hai

Racha Kar Dhong Ulfat Ka Hawas Dil Ki Bujhate Hai,

Hawas Ka Naam Duniya Ne Badal Kar Ishq Rakha Hai...

Sirf Chaha Hai Tere Dil Ki Tamanna Hona

Sirf Chaha Hai Tere Dil Ki Tamanna Hona,

Apne Malik Se Hukumat Nhi Mangi Maine...

Apne Ehsaas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kardo... (Ghazal) -Wasi Shah



Apne Ehsaas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kardo,
Mai Ke Sadiyo Se Adhoora Hu Mukammal Kardo


Na Tumhe Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe,
Is Qadar Toot Ke Chaho Ke Mujhe Pagal Kardo


Tum Hatheli Ko Mere Piyaar Ki Mehndi Se Rango,
Apni Aankho Me Mere Naam Ka Kajal Kardo


Iske Saaye Me Mere Khawab Mehak Uthe Ge,
Mere Chehre Pe Umeedo Bhara Aanchal Kardo


Dhoop Hi Dhoop Ho Mai Toot Ke Barso Mujh Par,
Iss Qadar Barso Meri Rooh Ko Jal-Thal Kardo


Tum Chhupa Lo Mera Dil Oat Me Apne Dil Ki,
Aur Mujhe Meri Nigaho Se Bhi Ojhal Kardo


Apne Honto Se Koi Mohar Lagao Mujh Par,
Ek Nazar Piyaar Se Dekho Mujhe Ghayal Kardo


Apne Gham Se Kaho Kar Waqt Mere Saath Rahe,
Ek Ehsaan Karo Is Ko Musalsal Kardo


Mujh Pe Chha Jaao Kisi Aag Ki Soorat Jaana,
Aur Meri Zaat Ko Sukha Hua Jungal Kardo


-Wasi Shah

Wednesday, July 26, 2017

Tujhe Ishq Ho Khuda Kare

Tujhe Ishq Ho Khuda Kare
Tujhe Us Se Koi Juda Kare
Tere Hont Hansna Bhool Jaaye
Teri Aankh Pur Nam Raha Kare

Tu Us Ki Baate Kiya Kare
Tu Us Ki Baate Suna Kare
Use Dekh Kar Tu Ruk Jaye
Wo Nazar Jhuka Kar Mila Kare

Tujhe Dosti Bhi Na Raas Aaye
Tu Tanha Tanha Phira Kare
Tujhe Hijar Ki Wo Jhari Lage
Tu Milan Ki Har Pal Dua Kare

Tere Khawab Bikhre Toot Kar
Tu Kirchi Kirchi Chuna Kare
Tu Gali Gali Sada Kare
Tu Nagar Nagar Phira Kare

Saturday, July 22, 2017

Kaha Le Jaau Dil Dono Jaha Me Iski Mushkil Hai -Akbar Allahabadi


Kaha Le Jaau Dil Dono Jaha Me Is ki Mushkil Hai,
Yaha Pariyo Ka Majma Hai, Waha Hooro'n Ki Mehfil Hai

ilaahi Kaisi Kaisi Soorate Tune Banayi Hai,
Har Surat Kaleje Se Laga Lene Ke Kabil Hai

Yeh Dil Lete Hi Shishe Ki Tarha Patthar Pe De Mara,
Mai Kehta Reh Gaya Zaalim Mera Dil Hai, Mera Dil Hai

Jo Dekha Aks Aaine Me Apna Bole Jhunjla Kar,
Are Tu Koun Hai, Hat Saamne Se Kyu 
Mukabil Hai


Hazaro Dil Masal Kar Paav Se Jhunjla Ke Farmaya,
Lo Pehchano Tumhara In Dilo Me Koun Sa Dil Hai



-Akbar Allahabadi

Mohabbat Buri Hai, Buri Hai Mohabbat

Mohabbat Buri Hai, Buri Hai Mohabbat,

Kahe Ja Rahe Hai, Kiye Ja Rahe Hai...

Wednesday, July 19, 2017

Mohabbat Rait Jaisi Thi...


Mohabbat Rait Jaisi Thi

Mujhe Yeh Galat Fehmi Thi


Ke Mohabbat Dhair Saari Thi


Dono Haatho Me Bhar Kar


Tamam Umar Sambhaluga


Mohabbat Khone Ke Darr Se


Muthiyaa Bheenchli Mai Ne


Magar Jab Muthiyaan Kholi


Toh Dono Haath Khaali The


Kyu Ke Mohabbat Rait Jaisi Thi

Tuesday, July 18, 2017

Bichhad Kar Tujh Se Zinda Hu Meri Taqdeer Toh Dekho (Ghazal)

Bichhad Kar Tujh Se Zinda Hu Meri Taqdeer Toh Dekho,
Kabhi Aa Kar Mere Halaat Ki Tasveer Toh Dekho,

Mujhe Mehfil Me Dekha Tu Kaha Us Ne Raqibo Se,
Mera Aashiq, Mera Paagal, Mera Dargeer Toh Dekho

Teri Tasveer Ke Pichhe Hai Jaale Bewafayi Ke,
Ulat Kar Tum Zara Apni, Kabhi Tasveer Toh Dekho

De Kar Pyaar Ki Daulat Khareede Khoon Ke Aansu,
Mili Jo Ishq Me, Zara Jageer Toh Dekho,

Likha Hai Naam Saahil Ka Shararat Hai Raqibo Ki,
Yeh Khat Mera Nahi Jaana, Zara Tehreer Toh Dekho