Showing posts with label Husn Shayari. Show all posts
Showing posts with label Husn Shayari. Show all posts

Sunday, August 20, 2017

Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota... (Nazm) -Wasi Shah




Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

Tu Bade Piyaar Se Chaao Se Bade Maan Ke Sath

Apni Nazuk Si Kalayi Me Chadati Mujh Ko

Aur Be-Taabi Se Fursat Ke Khizaa Lamho Me

Tu Kisi Soch Me Dobi Jo Ghomati Mujh Ko

Mai Tere Hath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata

Jab Kabhi Mood Me Aa Kar Mujhe Choma Karti

Tere Hontoo Ki Mai Hiddat Se Dehak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendo Ke Safar Par Jati

Mar-Marein Hath Ka Takiya Banaya Karti

Mai Tere Kaan Se Lag Kar Kayi Baate Karta

Teri Zulfon Ko Tere Gaal Ko Chheda Karta

Mujh Ko Be-Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha

Mai Teri Rooh Ke Gulshan Me Meehakta Rehta

Mai Tere Jism Ke Aangan Me Khanakta Rehta

Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota

Kash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

-Wasi Shah


Tuesday, August 8, 2017

Wo Jo Lagta Hai Hume Jaan Se Pyara Pagal... (Ghazal)



Wo Jo Lagta Hai Hume Jaan Se Pyara Pagal,
Wo Hai Lakho Me Faqat Ek Humara, Pagal

Teri Daryao Si Aadat Hi Tujhe Le Doobi,
Mai Batata Hi Raha Ye Hai Kinara, Pagal

Har Kisi Se Nahi Umeed Lagayi Jati,
Har Koi De Nahi Sakta Hai Sahara, Pagal

Wo Bhi Qisto Me Dikhata Hai Adaye Apni,
Wo Bhi Hone Nahi Deta Mujhe Sahara, Pagal

Iss Pe Kya Rona, Tumhe Koi Samajhta Hi Nahi,
Mujhse Aa Kar Toh Kaho Me Hu Tumhara, Pagal

Saath Tum The Toh Mujhe Raas Tha Pagalpan Bhi,
Ab Tere Baad Kare Kaise Guzara? Pagal

Door Tum Jab Se Hue Tab se Humare Hisse,
Bas Khasara Hai, Khasara Hai, Khasara, Pagal

Tuesday, August 1, 2017

Sunday, July 30, 2017

Teri Saadgi Ka Husn Bhi Lajawaab Hai

Teri Saadgi Ka Husn Bhi Lajawaab Hai,

Mujhe Naaz Hai Ke Tu Mera Intekhaab* Hai...

Intekhaab= Choice, Pasand

Saturday, July 29, 2017

Sahil Jaisi Lagti Hai Woh, Aur Bhanwar Si Aankhe Hai

Sahil Jaisi Lagti Hai Woh, Aur Bhanwar Si Aankhe Hai,

Saade Se Ek Chehre Par Kya Jadugar Si Aankhe Hai...

Us Ke Rukhsaar Pe Dimple Ne Qayamat Kar Di

Us Ke Rukhsaar Pe Dimple Ne Qayamat Kar Di

Ek Chhote Se Bhanwar Me Mera Dil Doob Gaya...

Apne Ehsaas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kardo... (Ghazal) -Wasi Shah



Apne Ehsaas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kardo,
Mai Ke Sadiyo Se Adhoora Hu Mukammal Kardo


Na Tumhe Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe,
Is Qadar Toot Ke Chaho Ke Mujhe Pagal Kardo


Tum Hatheli Ko Mere Piyaar Ki Mehndi Se Rango,
Apni Aankho Me Mere Naam Ka Kajal Kardo


Iske Saaye Me Mere Khawab Mehak Uthe Ge,
Mere Chehre Pe Umeedo Bhara Aanchal Kardo


Dhoop Hi Dhoop Ho Mai Toot Ke Barso Mujh Par,
Iss Qadar Barso Meri Rooh Ko Jal-Thal Kardo


Tum Chhupa Lo Mera Dil Oat Me Apne Dil Ki,
Aur Mujhe Meri Nigaho Se Bhi Ojhal Kardo


Apne Honto Se Koi Mohar Lagao Mujh Par,
Ek Nazar Piyaar Se Dekho Mujhe Ghayal Kardo


Apne Gham Se Kaho Kar Waqt Mere Saath Rahe,
Ek Ehsaan Karo Is Ko Musalsal Kardo


Mujh Pe Chha Jaao Kisi Aag Ki Soorat Jaana,
Aur Meri Zaat Ko Sukha Hua Jungal Kardo


-Wasi Shah

Saturday, July 22, 2017

Kaha Le Jaau Dil Dono Jaha Me Iski Mushkil Hai -Akbar Allahabadi


Kaha Le Jaau Dil Dono Jaha Me Is ki Mushkil Hai,
Yaha Pariyo Ka Majma Hai, Waha Hooro'n Ki Mehfil Hai

ilaahi Kaisi Kaisi Soorate Tune Banayi Hai,
Har Surat Kaleje Se Laga Lene Ke Kabil Hai

Yeh Dil Lete Hi Shishe Ki Tarha Patthar Pe De Mara,
Mai Kehta Reh Gaya Zaalim Mera Dil Hai, Mera Dil Hai

Jo Dekha Aks Aaine Me Apna Bole Jhunjla Kar,
Are Tu Koun Hai, Hat Saamne Se Kyu 
Mukabil Hai


Hazaro Dil Masal Kar Paav Se Jhunjla Ke Farmaya,
Lo Pehchano Tumhara In Dilo Me Koun Sa Dil Hai



-Akbar Allahabadi

Tuesday, July 11, 2017

Woh Jazbo Ki Tijarat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha


Woh Jazbo Ki Tijarat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha,
Use Hansne Ki Aadat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhe Uss Ne Kaha Aao Nayi Duniya Basate Hai,
Use Sujhi Shararat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Humesha Uski Aankho Me Dhanaq Ke Rang Hote The,
Yeh Uski Aam Aadat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Woh Mere Paas Bethi, Deir Tak Ghazle Meri Sunti,
Use Khud Se Mohabbat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mere Kandhe Par Sir Rakh Kar Kahi Par Kho Gayi Thi Woh,
Yeh Ek Waqti Inayat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Mujhe Woh Dekh Kar Aksar Nighahe Phair Leti Thi,
Yeh Dar Parda Haqarat Thi, Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha

Monday, July 10, 2017